Islamic Quiz 23

Islamic Quiz 23 : In me se Kounse Shakhs ki 40 din tak Namaz Qabool Nahi hoti?

In me se Kounse Shakhs ki 40 din tak Namaz Qabool Nahi hoti?

Get Answer

Please Wait
Your Answer is loading

Sahih Jawab hai: option A. Qahino Se Sawal Karnewala

Daleel :

۞ Hadees: Hazrate Hafsa (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke,
Rasool-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya Ki –

“Agar Koi Musalman Kisi Majoosi, (Qaahin) ke Paas jakar
Kuch Daryaft karta hai tou Uski 40 Din ki Namaz Qubool Nahi Hoti.”

📕 Muslim Sharif Vol-2 Page-233

Ek aur Riwayat me Aata Hai ke –
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –
“Jisne Sharab pee li Uski 40 Din tak Namaz Kubool Nahi Hogi,
Phir Agar Woh Tauba Karle Tou ALLAH Mu’af Farma Dega,
Phir Usne Sharab Pi Tou 40 Din Tak Namaz Kubul Nahi Hogi –

Aur Agar Usne Tauba Karli Tou ALLAH Muaf Farma Dega.
Isey Tarah Teen Martaba Aap ne farmaya.

Phir Farmaya Ki Agar Woh 4thi Baar Sharab Piyega
Tou Uski 40 Din Tak Namaz Kubul Nahi Hogi
Aur Wo Tauba Karega Tou Tauba Kubul Na Hogi
Aur Usey Qayamat Ke Roz Jahannamio Ka Peep Pilaya Jayega.”

📕 Mishkat Sharif: 317

» Note: Beharhaal Namaz Ki Ahmiyat Kya Hai Hum’me se Aksariyat Jaanti hai,
Aur Namaz Ko Chorrna Kabeera Gunaah me se hai,
– Lekin Allah Rabbul Izzat Aise Shakhs Ki Namaz 40 Din tak Qabool nahi Farmata
Jo Kisi Qaahin ke Paas Jakar Kuch Daryaft Karta ho aur Jo Sharab Pita ho,
*Kyunki Ye Dono Gunaah Itney Sangeen hai ke Allah Rabbul Aise Musalmaan Ki Ibadate bhi Qabool nahi farmata,

*Aur Iss Hadeese Mubarak Me 40 Din Ki Namaz Qabool Na Honey Se Muarad Yeh Nahi Ke
40 Din Namaz Chorr De, Bulki Namaz Tou Padhna Hai –
– Lekin Afsos Ke Woh 40 Din Qabool Na Hongi.

Allah Hume Bachaye Qaahino Aur Majusiyo ke fitno se,
*SharPasando ke Sharr se
Ameen Allahumaa Ameen

📕 Sunan an-Nasa’i #5148; Book 48, Hadith#109

© Ummat-e-Nabi.com.

Previous Post Next Post