Islamic Quiz 38

Islamic Quiz 38 : Wo Kounsi Baat hai Jiski Wajah se Mu’ashre me Sabse Jyada Fitney aur Fasad Hotey hai?

Wo Kounsi Baat hai Jiski Wajah se Mu’ashre me Sabse Jyada Fitney aur Fasad Hotey hai ?

Get Answer

Please Wait
Your Answer is loading

Sahih Jawab hai: option B). Afwah

Afwah ki Wajah se Mu’ashre me Sabse Jyada Fitney aur Fasad hotey hai.

Daleel :

Aksar dekha jata hai ke log Choti-Choti Baato ki badi Afwaye(Rumour) failaney lag jaatey hai, Jo ki bohot hi galat baat hai.

Chotey-Chotey Wakiyat, Chotey-Chotey Halaat ko lekar itni Afwaye failayi jaati hai ke uski koi Inteha nahi aur bas tamam Mu’ashre me Wahi aag failti jaati hai. Jabki Allah Rabbul Izzat ne Quraan me is se Manaa kiya –

“Jab koi Fasiq (Untrusted Person) koi Khabar le kar aaye tou khoob tehqeeq kar liya karo ke Khabar kitni Sacchi hai.”

[Surah Al-Hujraat:49:6]

Aur Baaz Logon ko dekha gaya ke thodi koi baat untak pohoch jaye tou bina sochey samjhey muashre me faila dete hai aur khabre tou Aisi hi failti hai. Shaitan ke kamo me se ek kaam hai “Afwaho ko Failana”

• Jaise ke Misaal ke taur pe

Ek School ke class room me jaha 100-200 tak bacche padh rahe ho. waha agar Ustaad(Teacher) ke Table ke Nichey se koi Sanp ka baccha nikal aaye tou wo pehle (Bencher’s) se aakhri Benchers tak baat pohchtey pohctey wo na jaane kitne kissey bantey rehte hai. Allah reham kare.

*Pahle Bencher’s (Saff) ki Line tak baat pohchi ke “Saanp ka Baccha nikla Teacher ke Table ke niche se.”

*Wo baat uske piche waley benchers tak pohchti hai “Ek bohot bada Saanp nikla Teacher ke Table ke niche se …”

* Aakhri Benchers tak baat pohchte pohochety “Bohot bada Ajdaha nikla, Aagaya tha Teacher ke Table ke Nichey se, Teacher ko nigaleny hi wala tha..”

Bus Kissey ban rahe hai Ek se Dusrey tak, Dusrey se Tisrey tak.

Baat School ke bahar tak jati hai “Bohot Bada Ajdaha nikla, Pait me se bakri nikli, Toley 70 Kilo ka Vajan bhara uska … 🙂 ” Subhan’Allah …..

Aur jab koi uss Teachers se ja kar puchey tou pata chala “Ek Mamuli Chotasa Saanp ka baccha nikla” …

Tou Aisa hi hota hai, Afwah kabhi rukti nahi, wo Sanp ki Misaal ki tarha badhti Hi jaati hai.

Lihaja Hume Chahiye ke kisi tarha ki Afwahe na failaye, Iss se Mahoul kharaab hota hai.

Aur Ismey Kabhi Kabaar youn hota hai ke kisi Shakhs ki Badd’naami, Beizzati ya Uspar tohmat lagti hai aur agar Ismey Jhooth raha tou Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai –

“Agar koi Shakhs kisi par Ilzam Lagaye, tou Roze Qayamat Usko Allah Aag ke Pinjrey me band karega, Jab Tak ke Ilzam Sabit nahi Karega Usey waha se Nikala nahi Jayega." [Musnade Ahmad]

Sabaq:

Lihaja hume chahiye ke kisi bhi Khabar par Aitmad karne se pahle usey thik se Jaanch liya kare aur bina tehkik kisi baat ko aagey pohchaney se pahle soch liya karey ke ismey kitna Sharr hai aur kitna khair.

*Haa! koi baat tasdik shuda lagey tou usey Man’ne me koi harz nahi. lekin phir bhi Hum yahi kahenge bila tahkik kisi Fasiq ki baat par aitbaar na karey.

♥ Aakhir me Allah Rabbul Izzat se Dua hai ke –

- Allah Ta’ala hume tamam kism ke Shaitani fitno se bachaye,
- Jab tak Hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey,
- Khatma Humara Imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

© Ummat-e-Nabi.com

Previous Post Next Post