۞ Hadees: Abu darda (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ki
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "kya thak jata hai
tum mein se koi is baat se ki har raat Ek Teehaii Quran parh le ?"
Sahaba ne arz kiya ki 'Teehaii Quran ( Ek raat mein ) kaisey padhh saktey hain ?'
Aap (ﷺ) ne farmaya: "Qul Huwallahu Ahad ( Surah Al- ikhlas)
Ek teehaii Quran ke barabar hai."
📚 Sunan an-Nasa’i 3533b
۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki
RasoolAllah (ﷺ) humarey pass aaye aur farmaya
"Main tumharey samney Ek Tihaii Quran parhta hu,
phir Aap (ﷺ) ne Qul Huwallahu Ahad ( Surah ikhlas )
parhi yahan tak ki is surah ko khatam (pura) kiya."
📚 Sahih Muslim, 1889
✦ Wajahat: Surah Ikhlas ki itni badi fazilat ke baare me
Ahle ilm ki raay hai ke yah surah Purey
Quran ka one third hissa Tawheed ki Azmat aur
Ahmiyat bayan karta hai aur Surah Ikhlas me
Tawheed ka mukammmil taruf aaya hai.
© Ummat-e-Nabi.com.