Islamic Quiz 244 : In me se kin Logon ko Jahannum ke Sabse Nichley Gadhey me Azaab diya Jayega?

Islamic Quiz 244

In me se kin Logon ko Jahannum ke Sabse Nichley Gadhey me Azaab diya Jayega?

Options Are 👇

A. Mushrik

B. Kafir

C. Munafiq

D. Sahih Jawab Ka Intezar

Get Answer

Sahih jawab hai : Option ( C )

✅ Munafiq

Munafiqo ke Sangeen Jurm ke Sabab Allah Rabbul Izzat ne Jahnnnum ki Sabse Gehrayio me Azab Rakha hai jiske Talluk Quraan me Allah Ta’ala armata hai –

Daleel :

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Munafiq Wo hai jo Jahannum ke Sabse Nichley Gaddhey me Rahne waaley hai.”

 📕 Quran 4:145

Ye baat hum sab Jantey hai ke –
Jannatiyo ka Maqaam Bulandiyo par hai, Usi tarha Gunahgaro ke Azab ki Sakhtiya Jahannum ki Gehrayion me hai. Lihaja jo jitna jyada Gunahgaar uske Azab ki Shiddat bhi utni sakht.

Munafiqat kya hai aur Unhe Itni Sangeen Saza kyu?

Allah ke Nazdeeq Shirk aur Kufr se bhi Jyada Sangeen jurm Nifaq (Munafiqat) hai. Yaani koi Shakhs jo Andar se Kafir-wa-Mushrik hai ya Dil me Islam aur Musalmano se bugz rakhta ho aur Logon ko dikhane ke liye Imaan ka dawa karta hai taaki Musalmano ki Safo me Daakhil ho kar unme inteshar faila sakey. Aise Shakhs ko Munafiq kaha jata hai jo Allah ke Nadeez sabse bada Gunahgaar hai.

Munafiqo ki Sifat:

Munafiq ki Sifat Bayan karte hue Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:

۞ Hadees: “Chaar Aadatey aesi hai ki, Jinkey Andar bhi wo hongi wo Munafiq hoga. Unn Chaar me se agar koi ek paayi jaayegi tou uske andar Nifaaq ki wk Aadat hogi. Yahan tak ki usey Chhor de.”

∗(1). Jab Boley tou Jhoot Boley.
∗(2). Waada Karey tou Poora na Karey.
∗(3). Lade-Jhagde tou Gaali Bakey.
∗(4). Muaahida(Deal) kare tou Dhoka de.

   📕 Sahih Al-Bukhari, Hadith no.2459

Beharhaal! hum Sabko gour karna Chahiye ke ye saari Sifat kahi hum’me tou nahi?
*Jhooth, Wada-Khilafi, Gaali-galoch aur Dhoka kahi Humara shaiwa tou nahi ?
*Kahi hum Naam ke hi Musalman aur Sifat ke Munafiq tou nahi ?,
*Tou hume Chahiye ke in Tamaam Mu’amlat me Ahtiyat karey.

♥ Allah Rabbul Izzat se Dua hai ke –
# Allah Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufiq dey,
# Humey Nifaq ki Tamam khaslato se bachaye rakhey,
# Jab tak Hume zinda rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey,
# Khatma Humara Imaan par ho.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Install Islamic Quiz App