Mushrikaan-e-Makkah Allah ki Hidayat ko kis Bahaaney se inkar kar detey they?
- A). Hum tou Baap-Dada ke Deen par hi chalenge
- B). Islam bohot Mushkil Deen hai
- C). Humara Deen Islam se Behtar hai
- D). Sahih Jawab ka Intezar
Please Wait
Your Answer is loading
Sahih Jawab hai: option A). Hum tou Baap-Dada ke Deen par hi chalenge
Daleel :
Allah Raabul Izzat Mushriko ki hatdharmi bayan karte hue Quraan me farmata hai –
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Aur Jab Mushriko se kaha jaye ki Allah ke utaare(hidayat) par Chalo tou kahenge: Hum tou usi pe Chalenge jis par humne apne Baap-Dada ko paya, Agarche unke Baap-Dada naa kuch Aqal rakhte ho na Hidayat.”
*Afsos ki baat hai ke Aaj Humara bhi Muamla bhi kuch aisa hi hai ke –
– Hum bhi apne Aaba-o-Azdad ke tareeko ko Kitabo Sunnat par tarzi de rahe hai,
– Humse bhi jab koi Kitabo Sunnat ki baat karta hai tou uska Mazak udaya jata hai.
• Allah ke liye Jab koi Qurano Hadees ki taraf hume bulaye tou bagour uski baate suney, Warna La-ilmi me kahi hum uski Mukahliafat me iss hadd tak Aagey na badh jaye jo humari musibat-wa-barbadi ka baayis ho.
– Jiske Talluk Allah Rabbul Izzat Quraan me wajahat farmata hai –
“Aur tum par jo Museebat aati hai wo Tumhare hi haatho ke kiye huye kaamo se aati hai jabki wo (Allah) bahut se gunaah muaf bhi farma deta hai.” 📕 Quran 42:30
Tou Behrhaal jab bhi koi Kitabo-Sunnat ki Hume dawat dey tou hume chahiye ke uspe Gour kare aur tassub ke Chasme utaar kar mehaz haq ki taraf ruzu karey.
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume haq Sun’ne, Samjhne aur Uss par Amal ki taufiq dey..
# Humey Kitabo-Sunnat ka Muttabey banaye,
# Jab Tak hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhye.
# Khatma Humara Imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!