Islamic Quiz 19

Islamic Quiz 19 Ummat-e-Nabi.com : In me se Kounsa Amal Kufr hai ?

In me se Kounsa Amal Kufr hai?

Get Answer

Please Wait
Your Answer is loading

Sahih Jawab hai: option A. Shohar ki Nashukri karna

Daleel :

۞ Hadees: Abdullah Ibne Abbas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya –

“Mujhe Dozakh dikhai gayi, Maine waha Aurato ko jyada paya, wajah ye hai ki woh Kufr karti hai.”

Sahaba ne Arz kiya ‘Kya wo Allah ke sath Kufr(Shirk) karti hai?’

Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ‘Nahi! wo Shohar ki Nashukri karti hai. Jo ke ek tarah ka Kufr hai aur ehsaan nahi maanti, agar tu kisi Aurat se Umar bhar ehsaan aur Neki ka sulook kare lekin 1 baat bhi khilaf-e-tabiyat ho jaye tou jhath se keh degi ke “Maine tumse kabhi aaram aur sukoon nahi paya.”

📕 Bukhari Sharif Jild 1, Baab 21, Hadees-28, Safa 109

• Note: Beharhaal iss post ke jarye kisi par bhi Zaati taur se tanz karna humara maksad nahi.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azzez !!!
- Allah Rabbul Izzat Ummat-e-Muslima ko har kism ki buri khaslato se bachaye,
- Aur Tamam tar Aadab-o-Akhlaq me Husn-e-Sulukhi Ikhtiyar karne ki taufiq ata farmaye, ameen.

© Ummat-e-Nabi.com

Previous Post Next Post