۞ Hadees: Abu Hurerah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
‘Jab Kisiko Chheenk Aaye tou “Alahmdulillah” Kahe
Aur Uske Jawab me Uska Bhai Ya Sath Wala Cheenkne Wale Ko “Ya-Reham’kallah” Kahe’
Tou Cheekne Wala Uske Jawab Me Ye Kahe – “Yah-Di-Kumullah-Wa-Yuslihu-Wa-L-Kum” ‘
📕 Bukhari; Vol-2 Page-919
*Alahmdulillah: Allah ka Shukr hai
*Ya-Reham’kallah: Allah Tum Par Reham Kare
*Yah-Di-Kumullah-Wa-Yuslihu-Wa-L-Kum: Allah Aapko Hidayat dey aur Aapki Islah farmaye