Islamic Quiz 33

Islamic Quiz 33 : Yakub (Alahi Salam) ne Mout ke Wakt Apne Beto’n ko kounsi Wasiyat ki?

Yakub (Alahi Salam) ne Mout ke Wakt Apne Beto’n ko kounsi Wasiyat ki ?

Get Answer

Please Wait
Your Answer is loading

Sahih Jawab hai: option C). Mere Baad bhi Kiski Ibadat karoge?

Daleel :

Tawheed ki Wasiyat Ambiya (Alaihi Salam) ki Sunnat

!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!

Ambiya (Alaihi Salato Salam) ke bheje Jaane ka Maksad Allah ka Paigaam Uske Bando tak Pohochana hota hai aur Allah Rabbul Izzat ne Roo-e-Zameen par Kamosbesh 1 Lakh 24 Hazaar Nabi aur Rasool maboos kiye taaki Apne Hukm ko Deen-e-Tawheed ka Paigaam Apne bando tak pohcha sake.

Aur tamam tar Ambiyao ne Ta-Waqt-e-Hayat apni Zimmedariya bakhubi nibhayi. Hatta ke Haalat-e-Wafat ke qareeb hai fir bhi apni Naslo ko Deen-e-Tawheed ki Wasiyat farma rahe hai. Aisa hi ek Wakya Rabbul Izzat ne Quran me bayan kiya aur farmaya –

"(Aye Yahood!!) Kya tum Uss Wakt Moujud they Jab Yakub par Mout aa khadi hui thi uss waqt Apne beto se kaha ki Mere baad bhi kis ki Ibadat karoge ?

(Tou) Kahne lagey hum Aapke Mabood aur Aap ke Baap-Dadao Ibrahim-Wa-Isamail ke Mabood wa yakta Allah ki Ibadat karenge aur Hum uske farmabardaar hai."

📕 Surah Al-Baqrah 2:133

 

Tou beharhaal Iss Aayat-e-Mubarak me Qayamat tak ke liye Nashisht hai Hum tamam ke liye - ke Apne Duniya me bheje Jaane ka maksad samjhey.

– Aur duniya me jo rishey Hum chorrkar jaane wale hai unhe khair ki wasiyat kare,
– Aur Khair Wasiyat se muraad hum sab jantey hai ke Deen-e-Tawheed ki wasiyat ho hai Ambiya (Alaihi Salam) ki Sunnat.

© Ummat-e-Nabi.com

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!

# Allah Rabbul Izzat se Dua hai ke –
# Hume Kehne Sun’ne se jyada amal ki taufiq dey,
# Jab tak Hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey,
# Khatma Humara Imaan par ho,

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

© Ummat-e-Nabi.com

Previous Post Next Post