Islamic Quiz 37

Islamic Quiz 37 : Momino me Agar Kisi Baat par Ikhtelaaf ho jaye tou Unme Sabse Pehle Insaf ka Mayar kya ho?

Momino me Agar Kisi baat par Ikhtelaaf ho jaye tou Unme Sabse Pehle Insaf ka Mayaar kya ho?

Get Answer

Please Wait
Your Answer is loading

Sahih Jawab hai: option A). Quraano-Hadees

Daleel :

Iske Talluk se Allah Rabbul Izzat farmata hai –

۞  Al-Quraan ۞

“Aye Emaanwalo ! Ita’at Karo Allah ki aur Uske Rasool Ki, aur Ita’at karo Unki Jo Ulool Amr hai (Isme Khalifa-e-Wakt aur Ulma Shamil hai).

Lekin agar kisi Muamle me Ikhtelaaf ho jaye tou Paltaado apni baato ko Allah aur Uske Rasool ki taraf agar Allah aur Roze Aakhirat par Iman rakhte ho.”

📚 Surah Nisa 4:59

Aaj Kitni baar aisa hua ke Jis baat me humne Ikhtelaaf paya aur Usko Allah aur Uske Rasool ki taraf paltaya ?

Afsos ki baat hai ke Aaj tou Humara yeh Mu’amla hai ke jis Ikhtelaaf me hum Mulawwis hai Usme aur Gehrayi tak pohochkar aur Ikhtelaaf karna chahte hai Ummat me. Islah ke bajay Mu’ashre ko Bigad dena chahte hai. yehi tou humari halat hai aaj.

Aur Ikhtelaaf to hota hi hai, kyu na ho ? Insan hai, Humari samajh, Aqal me Ikhtelaaf hona mumkin hai. Lekin Allah aur Uske Rasool (ﷺ) ki baat Aaney ke Baad sir kham kar dijiye, ke bus Mu’amla khatm hua.

Sababao (RaziAllahu Anhu) ka bhi yahi Usool tha.

Jab tak koi baat na hoti tou Ikhtelaaf hota. Lekin jab Allah aur uske Rasool ki baat rakh di jaati tou fouran pichey hatt jatey aur jaan letey hai ke, Haa! Mujhsey khata ho gayi, ab mai apni islah kar leta hu.

Lekin aaj humara Muamla yeh hai ke Bus! Humne keh diya na ab Hum adey rahenge. fir chahey yeh Allah ke khilaf ho, Uske Rasool ke khilaf ho, Shariyat aur Deen beharhaal wo cheez jane dijiye, Humne keh diya Muamla tay ho gaya. (Nauzubillah) Allah Bachaye Hume aisi Gustakhiyo se.

Tou Behrhaal Jab bhi koi Ikhtilaaf ho Allah aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Taraf Uss Cheez ko Fauran Palta dijiye. Sahih Daleel Kitabo Sunnat se Hasil karey agar Unme bhi na miley tou fir Imaamo ke Qoul, Ya fir Ulemaa-e-Haq ke Fatwo ki taraf Ruzu kare. aur Apni aur Apne Momin bhaiyo ki Islah karey. Yahi Allah aur Uski Hidayat se Kareeb hai.

© Ummat-e-Nabi.com

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!

Allah Ta’ala hume haq Sun’ne, Samjhne aur Uss par amal ki taufiq dey,
Jab tak hume zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey,
Khatma Humara Imaan par ho.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

© Ummat-e-Nabi.com

Previous Post Next Post