Islamic Quiz 43

Islamic Quiz 43 :  Islam me In me se Sabse Afzal Martaba kin Logon ka hai?

Islam me in me se Sabse Afzal Martaba kin Logon ka hai?

Get Answer

Please Wait
Your Answer is loading

Sahih Jawab hai: option D). Muttaqi (Parhezgaar)

Islam Me Sabse Afzal Martaba Muttaqi (Parhezgaar) Logon ka hai.

Daleel :

“Beshaq Allah ke nazdik ikram wala wohi hai
jo Allah ka Darr(Taqwa) rakhta ho.”

    📕 Surah Huzrat 49:3

Lekin afsos ki baat hai ke gujista halato aur humari la-ilmi ne digar majahib ki tarha bhi unch-nich ke taqaze baandh liye aur fir manmani tareeke se ek ko dusre par tarji de di.

Jaise ke logon ne Sayyed ko sabse afzal martba de diya. aayiye iski hakikat jan’ne ki koshish karte hai.

– Jabki Shariyat ne iss cheez ki ijajat nahi di.
– Aur RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne hadees me
farmaya ke “mere khandan par Zakaat haraam hai.”
    📕 Muslim: .the book of zakah – Hadith;
    📕 English reference: book 4, hadith 667
    📕 Arabic reference: book 4, hadith 646]

Tou aapne kabhi Sayyed nahi kaha apne-aap ko. Hadees me jo wajeh alfaz hai ke “mera khandan” aur yeh baat hum sab jantey hai ke “Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) quraish they, banu hashim qabile se ,..”

– Ab mera khandan boley tou humare paas sayyed!!! (SubhanAllah)
– jabki ye Tasawwur kar liya gaya, lekin hakikat me aisa kuch bhi nahi hai.

Aur RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne jaha bhi hadees me bayan kiya
aur kaha ke “mere khandan par Zakat haraam hai” ye nahi kaha ke “Sayed par zakaat haram hai “

Accha tajjub ki baat yeh hai ke –
khud ko RasoolAllah ke khandan se bataney wale log saare barre-sageer (Hindustan, Pakisthan aur Bangladesh) me hi hai, Saudi Arab me ek bhi nahi milega aapko, waha sayed hai hi nahi. (MashaAllah)

Hume bhi bada tajjub hua ke –
– Purey sayed yaha kaise shift ho gaye ?, waha koi bhi nahi bacha, Dekhiye thoda gour bhi karne ki cheez hai yeh, ke purey RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke khandan ke log Saudi Arab chorkar Hindustan Pakisatn me aakar bas gaye aur Sayed yahi hai baaki kahi nahi.

Aur kya purey Hindustan, Pakistan ke musalman Arab se aaye hai? wo bhi nahi!!!
– yaha jab Sahaba, Tabeyeen inke jarye Islam aaya, digar fir log jab Islam lekar aaye, tou logon ne Islam kabool kiya aur islam kabul karne ke baad unko log itney acche lage ke apna surname bhi laga liya.

– jaise kisi ko Abu Baqar Siddhiq (R.A) ache lage tou “Siddhiqi” laga liya,
– kisi ko Umar Farukh (R.A) acche lagey tou “Farukhi” laga liya.

Tou ye iss tarha se naamo ka silsila hindustan me aya,
Ab log kahenge ke mai tou hakikat me Siddhiqi boley tou abu bakar siddhiq tak apna Shijra bata sakta hu. tou aise bohot kum log hai. sab nahi bata sakte, jabki bakiyon ne sirf naam le liya. tou usi tarha hua ke hum sayed hai.

Aur iska nuqsaan ye hua ke –
Sayed surname wale jitney bhi Musalman Zakat ke mustahik hai unhe Zakat nahi milti, unhe unka haq nahi milta. Allah reham karey.

Tou beharhaalSayed koi unche hai aur baaki nichey aisa kisi bhi riwayat me nahi aata.

Yaad rakhiye ke sayed hone se koi afzal nahi aur koi dusra koi mafzul nahi hai.

Sayed ka matlab:

Sayed ka matlab hota hai aaqa, ya bada ya master jisko bolenge hum aam zabaan me. Lekin agar koi Shijra sabit kare RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke khandan se apna tou ha hum kahenge ke Ha! Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke khandan se hai. lekin fir bhi uski koi fazilat nahi hai. isiliye kyunki – "Allah ke nazdik Taqwa asal hai” [49:13]

Tou jiske paas uncha nasab-nama hai bhi aur agar taqwa hai tou durust hai aur nahi hai tou fir Abu Lehab bhi RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke khandan se tha lekin koi fayda na diya usko.

Abu Talib RasoolAllah ke khandan se they, madad bhi kiye lekin koi fayda na hua.
Aur Hamza (RaziAllahu Anhu) imaan la liye! lihaja unko fayda hua Islam ka.

Tou yeh asal cheez hai ke koun imanwala hai aur koun nahi.

♥ In’Sha Allah-ul-azeez !!!

- Allah hume haq sunne samjhne aur uspey amal ki taufiq dey.
- Hum tamam ko Muttaqi aur Parhezgaar banaye,
- Jab tak hume zinda rakhey islam aur imaan par zinda rakhye,
- Khatma humara imaan par ho.

!!! Wa Aakhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil Aalameen !!!

 

© Quiz.Ummat-e-Nabi.com

Previous Post Next Post