Deen-e-Islam kab Mukammil hua?
- A). Rasool’Allah(ﷺ) ke Dour me
- B). 4 Imaamo ke Dour me
- C). Abhi tak ho raha hai.
- D). Sahih Jawab ka Intezar
Please Wait
Your Answer is loading
Sahih Jawab hai: option A). Rasool’Allah(ﷺ) ke Dour me
Deen-e-Islam Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Dour Me Mukammil Hua.
Daleel :
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Hajjatul Wida ke Mouke par RasoolAllah(ﷺ) ne irshad farmaya –
"Aye logon! shayad aayinda saal ya fir kabhi tumse yaha mulaqat na ho sakey. jo tum me se garib hai unhe wohi khilao jo tum khate ho, wohi pehnao jo tum pehnte ho, ke sab ko Allah hi ki taraf loutna hai aur wo tumse tumhare amaal ka hisab lega.”
Jo moujud hai unhe batado jo moujud nahi ke tum sab ek aadam ki aulaad ho aur tum me sabse behtar wo hai jise Allah ka khouf (Taqwa) hai.
Yaad rahe! har Musalman dusre Muslman ka bhai hai aur tamaam musalman aapas me bhai-bhai hai.
Musalmano me Rang, Nasl aur Kabile ka koi imteyaj nahi, koi Musalman kisi dusre ke maal par najayaz tassaruf nahi karega, warna yeh ek dusre par zulm ho jayega.
Logon gour se suno! jo cheez mai tum’me chorrey ja raha hu, wo nihayat wajeh aur roshan hai aur wo hai Allah ki Kitab (Quran) aur uskey Rasool ki Sunnat. Agar isey mazbuti se pakdey rahoge tou kabhi thokar na khaoge.
Phir aapne Takmil-e-Deen ke hawaale se iss ayat ki tilawat farmayi –
“Aaj ke din humne tumhare liye din ko mukammil kar liya aur apni neymate humne tum par tamam kar di aur tumhare liye Deen-e-Islam ko pasand kar liya.”
📕 Surah Maida 5:3
Tou iss riwayat se wajeh hai ke Aap (ﷺ) ke jarye Rabbul izzat ne apna deen mukammil kar liya. Ab iss mukamil deen me koi bhi naya akida shumar nahi ho sakta.
Aur agar koi aisi Jurrat karey, koi naya akida ijad kare tou wo Biddat hai aur Biddat ke talluk se Aap (ﷺ) ne wajeh ailaan kiya aur farmaya –
“Wa kullu biddatun zalala” yaani (deen me) har naya cheez (akida) gumrahi hai”
📕 Abu Dawood, Tirmizi
Lihaja humey chahiye ke shariyat ka sahi ilm hasil kare, uss par khud bhi amal karey aur auro ko bhi amal ki dawat dey.
♥ In Sha Allah-ul-azeez!
- Allah Rabbul Izzat humey kehne sun'ne se jyada amal ki taufik dey,
- Hume RasoolAllah (ﷺ) ki pakiza Sunnato ka muttabey banaye,
- Jab tak hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey.
- Khatma humara Imaan par ho.
!!! wa akhiru dawana anilhamdulillahe rabbil a’lameen !!!
– – – – – – – – – – – – – –
Biddat ke taalluk se tafseeli jankar ke liye lin par click kare.
» Biddat ki Haqeeqat: Part-1