In me se koun sa Janwar Qurbani ke liye Jaiz nahi?
Get AnswerPlease Wait
Your Answer is loading
Sahih Jawab hai: option C). Kamzor
Kamzor janwar jismein gooda tak na ho aisa janwar Qurbani ke liye Jaiz nahi.
Daleel :
Hadees : Nabi (ﷺ) ka farmaan hai:
Chaar tarah ke janwar Qurbani mein jaaiz nahi:
Kaana jis ka kaanapan zahir ho, langda jis ka langdapan wazeh ho,
mareez jis ka marz wazeh ho aur itna kamzor janwar ke us mein gooda tak na ho.📕 Nasai: 4376
* Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai.
Is Hadees se maloom hota hai ke Qurbani ka janwar qawi aur sehatmand ho. Khassi, gaabhin aur doodh dene waale janwar ki Qurbani jaaiz hai.
Janwar khareedne ke baad us mein aib paida ho jaaye masalan taang ya seeng ya daant ya haddi toot jaaye, kaan kat jaaye, bemaar ho jaaye to us ki Qurbani ki jaa sakti hai kiunki yeh honi hai usey koi taal nahi sakta us haal mein aadmi ma’zoor hai lekin agar koyi dobarah khareedne ki taaqat rakhta ho aur Hadees mein mazkoor chaar aibon mein se koyi aib khareedne ke baad paida ho jaaye to dobarah khareed le.
Qurbani ke liye mutayyan janwar bechna, hadiya karna ya girwi rakhna jaaiz nahi hai aur na hi usey baarbardari (samaan laane le jaane) ke liye istemaal karna jaaiz hai.
Qurbani ka janwar Musinnah (daanta) hona chaahiye, musinnah kehte hain aisa janwar jis ke doodh ke agle do daant toot kar nikal aaye hon.