Qurbani ka waqt Eid ki namaz ke fauran baad shuru ho jaata hai, khutba khatm hona zaroori nahi aur yeh bhi zaroori nahi ke pehle Imam saheb hi Qurbani den.
Bara bin Aazib (R.A) ne bayan kiya ke Nabi Kareem ﷺ ne Eid-ul-Azha ki Namaz ke baad khutbah dete huwe farmaaya:
Jis shakhs ne humaari Namaz ki tarah Namaz padhi aur humaari Qurbani ki tarah Qurbani ki us ki Qurbani sahih hue lekin jo shakhs Namaz se pehle Qurbani kare woh Namaz se pehle hi gosht khaata hai magar woh Qurbani nahi.
📕 Sahih Bukhari: 955
Yeh Hadees batlaati hai ke Eid ki Namaz se pehle Qurbani sahih nahi hai aur Eid ki namaz ke baad Qurbani karna sahih hai.
Eid ki namaz ke baad se Qurbani ka waqt shuru ho kar 13 Zul-Hijjah ke Maghrib ka sooraj doobne par khatm ho jaata hai. Yaani Qurbani ke chaar din Kitaabullah aur Sunnat e Rasool ﷺ se saabit hain.