۞ Mafhoom-e-Hadees:
Nabi-e-Kareem (ﷺ) jab Gaar-e-Hira me Alllah ki ibadat me mashgool rehte tou Hazrate Khadija (R.A) rozana aapke liye tosha (Khana) liye pahaad chadh kar jaya karti thi. ek roz Hazrat Jibraeel Alaihissalam Nabi (ﷺ) se mulakat karne pohche aur unhone Hazrate Khadija (R.A) ko pahad chadhte hue dekha to Nabi e Kareem (ﷺ) se farmaya:
"Allah ke Rasool ! Ye Khadija (R.A) hain Aapke pass aayi (Ya Aa rahi) hain Inke paas Ek bartan hain Jismein salan hain ya khana hain ya Mashroob hain chunanche Jab ye Aapke pass Aajaein toh Unhe Unke Rab-e-Azwajal ki taraf se aur meri taraf se Salaam kahe."
📕 Sahih Muslim 6273