Islamic Quiz 293 : Jo shakhs Raat ko Tahajjud padhne ke liye bedaar nahi ho sake to wo kaunsa amal kare?

Islamic Quiz 293 : Jo shakhs Raat ko Tahajjud padhne ke liye bedaar nahi ho sake to wo kaunsa amal kare?

Islamic Quiz 293

Jo shakhs Raat ko Tahajjud padhne ke liye bedaar nahi ho sake to wo kaunsa amal kare?

Options Are 👇

A. Kasrat se Allah ka Zikr kare

B. Din mein 12 rakat sunnat padhe

C. Witr ke baad 2 rakat adda kare

D. Kasrat se Nawafil ada kare

Get Answer

Sahih jawab hai : Option ( C )

✅ Witr ke baad 2 rakat adda kare

Daleel

Hazrat Thawban (R.A) RasoolAllah (ﷺ) se riwayat karte hain ki,
Aap (ﷺ) ne farmaya :

“Ye bedari (yani raat ko utth kar tahajjud padhna) Ek mushkil aur garaan (takleef de) kaam hain, jab tum mein se koi shakhs witr padh le to wo do rakaat ada kare, agar wo raat ke waqt bedaar hojaye (tou phir wo namaz tahajjud padhe) warna wo do rakaate is ke liye kaafi hongi.”

📕 Mishkat ul Masabeeh: 1286-Sahih

Install Islamic Quiz App

तफ़सील में पढ़े :