Islamic Quiz 137
Islamic Quiz 137 : Inmein se Jannat ke beech ka darwaza kise kaha gaya hai?
Sahih Jawab hai: option ( B )
۞ Hadith: Abu Abdur-Rahman As-Sulami riwayat kartey hain Abu Darda (R.A) se ki unhoney kaha RasoolAllah (ﷺ) ne faramaya:
“Walid (father) jannat ka darmiyana (beech ka) darwaza hai , isliye teri marzi usey zaya kar ya mehfooz rakh.”
📕 Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1959 ( Hasan)
۞ Hadith: Abdullah ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :
“Allah subhanahu ki raza walid ( ya waldain) ki khushi mein hai aur Allah subhanahu ka gussa Walid ( ya waldein) ki narazgi mein hai.”
📕 Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1960 ( Hasan)