Islamic Quiz 41

Islamic Quiz 41 : Kya Biwi Shohar ko Zakaat dey Sakti hai?

Kya Biwi Shohar ko Zakaat dey Sakti hai?

Get Answer

Please Wait
Your Answer is loading

Sahih Jawab hai: option A). Dey Sakti Hai

Jee Haa! Biwi Shohar ko apni Milkiyat se Zakaat Dey Sakti Hai.

Daleel :

۞ Hadees: Abdullah ibne Masud (R.A.) ka ibtedayi dour tha
aapki Biwi RasoolAllah (ﷺ) ke paas aayi aur kehne lagi ke –

“Aye Allah ke Rasool (sallallahu alaihay wasallam)!
Meri itni-itni Zakaat banti hai, Mai kisko du,
koun jayda mustahik hai ?”

Jab wo Aap (ﷺ) se masla daryaft kar rahi thi
tabhi Abdulah ibn Masood piche se aaye aur kaha ke –
“Ya RaoolAllah (ﷺ) ! aisi biwi ke bare me Aap kya farmayenge
jo Zakaat deti hai lekin uska Shohar hi Gareeb(mustahiq) ho …”

Phir Aap (ﷺ) ne kaha ke –
“Phir behtar hai ke wo Biwi apne Shohar ko hi de dey ,.. ”

    📕 Sahih Bukhari, Hadith no.1462

Tou Abudullah ibn Masud (R.A) ki Biwi samajh gayi aur unhe hi Zakaat dey di.

Lihaja iss Aahadees se pata ye chala ke agar Biwi ke paas apni milkiyat me se zakat nikalti hai aur Shohar uska Maqrooz aur Mustahik ho tou wo apne Shohar ko hi zakat de sakti hai.

Lekin yaad rahe Shohar Biwi ko Zakat nahi dey sakta kyunki Biwi uski jimmedari hai. uske Akhrajat  (kharche) uthaney ki jimmedari mukammil taur se Shohar ki hi hoti hai.

© Ummat-e-Nabi.com

Previous Post Next Post