Insano me Rangat ka Ikhtelaf (Color Variations) kis liye hota hai ?
Get AnswerPlease Wait
Your Answer is loading
Sahih Jawab hai: option C). Shanakht
Insano me Rangat ka ikhtelaf Shanakht ke liye hota hai.
Daleel :
☆ Zuban, Rangat aur Kabiley ka ikhtelaf sirf Shanakht ke liye.
Roo-e-Zameen par Aalmi aman qayam na hone ki sabsi aham wajah Shirk ke baad ye bhi hai ke logon ne Rangat aur Zabano ki buniyaad par ek dusre ko afzal aur mafzul bana diya.
Jabki Allah Rabbul izzat ne insano me Rangat, Kunbey aur Kabiley ka ikhtelaf is liye kiya kyunki Log ek dusre ki Shanakth(identify) kar sakey.
Iske talluk se Rabbul izzat Quran me farmata hai –
۞ Al-Quran: Logon! humne tum sabko ek mard aur ek aurat se paida kiya aur tumhare kunbey aur kabiley banaye taaki tum ek dusre ki shanakth karo. [Surah Hujurat 49:13]
Lekin afsos ki baat hai ke Rangat aur Zubaan ka ikhtelaaf aaj hum’me is qadar badh gaya ke humne isko ek dusre ki Nasli Tassub aur Unch nich ki vajah bana di. ke falah rang wale afzal aur fala rang wale mafzul. SubhanAllah!!
Jabki Shariyat-e-Islamiya tou wo shariyat hai jisne taman tar ikhtelafat ko khatm kar har insan ko ek hi darja diya fir chahe rangat aur zabane(languages) unke jaise bhi ho.
Kyuki Rangat aur Zabano ka ikhtelaf bhi tou Allah ki nishaniya hai
jiske tallkuk se Allah Rabbul izzat farmata hai –
۞ Al-Quran: ke Allah Rabbul izzat ke aayto aur nishaniyon me se hai ke usney aasman aur zameen ko paida kiya aur tumhari Zubaano aur Rangat ka ikhtelaf bhi allah ki nishani hai.
[Surah Room 30:22]
Tou beharhaal hum tamam ko chahiye ke rangat, zabane aur nasli tassub ko khatm karey aur har kisiko apne barabar samjhey.
Yaad rahe aaj humare atraaf kuch qoume aisi hai jinhe hazaro saalo se dabaya gaya. Wo mohtaj hai sirf ek mohabbat ke alfaz ke humse wo suney.
Agar mohabbat se hum unki taraf hath badha dey tou wo kal humare hai, lekin wo hume nahi hota kyunki hum bhi Rangat aur nasli tassub me fansey hue hai. Allah reham kare.
Tou beharhaal hume chahiye ke iss aalmi aman ke deen ko hum mazbuti se thaam ley aur duniya ne jitne bhi unch-nich ke taqaze banaye hai unn sab se kirnara kash ho kar iss aalmi deen ke paigaam awam me aam karey.
♥ In sha Allah-ul-Azeez !!
- Allah Rabbul izzat hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufiq dey,
- Jab tak hume zinda rakhey Islam aur imaan par zinda rakhye,
- Khatma humara imaan par ho.
!!! wa akhiru dawana anilhamdulillahe rabbil a’lameen !!!