Aurto se Nikah kis Cheez ki Buniyad par Karna Sunnat hai?
Get AnswerPlease Wait
Your Answer is loading
Sahih Jawab hai: option D). Deendari
Aurto se Nikaah Deendaari ki buniyaad par karna Sunnat hai.
Daleel :
Iske Talluk se Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai ke:
۞ Hadees: Aurat se 4 Cheezo ki wajah se
Nikah kiya jata hai,
» 1. Uska Maal
» 2. Husn Wa Jamal
» 3. Uska Khandan
» 4. Uski Deendari.
Lekin tum Deendari ko yhaam lo (kamiyab ho jaoge)”
📕 Bukhari: Jild 3, Safa 59
Yaani Aap (ﷺ) ne Nikaah ke muamle me
Deendari ko tarji di, Deendar aurto se nikaah ka hukm diya.
Zaahir si baat hai ke –
– Deendar ladki hogi tou Aulad Deendar hogi,
– marne ke baad sawabe jariya banegi,
Aur Deendar Aulad tou badi aham cheez hai,
jo marne ke baad humare liye dua-e-magfirat karengi.
Tou aesi aulad agar hum chahte hai tou nek ladki ka intekhab kare,
phir rangat , khubsurti aur maali kafiyat unke chahe jaise ho,
Lihaja nikah ke liye deendari ko lazim banayiye
jo duniya aur aakhirat ki kamiyabi ka sabab baney
♥ In’sha’allah-ul-Azeez !!!
- Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufiq dey,
- jab tak hume zinda rakhey islam aur imaan par zinda rakhye,
- khatma humara imaan par ho.
!!! wa akhiru dawana anilhamdulillahe rabbil a’lameen !!!