Islamic Quiz 17

Islamic Quiz 17 : Kis Burayi ki Buniyad par Aadam (Alaihi Salam) ke – Ek Betey ne dusre betey ka Qatl kiya?

Kis Burayi ki Buniyad par Aadam (Alaihi Salam) ke – Ek Betey ne dusre betey ka Qatl kiya?

Get Answer

Please Wait
Your Answer is loading

Sahih Jawab hai: option B). Hasad (Destructive Envy)

Daleel :

Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya – “Hasad se Bacho! Iss liye ke Aadam (Alaihay Salam) ke ek Bete ne dusre bete ko “Hasad” me Qatl kar diya tha.    📕 Ibn-e-Asaakir:40/49

Hasad kise kehte hai ?

Kisi ko Khaata-Peeta ya falta-foolta dekh kar dil me jalna aur uski Neymato ke Zawaal (Khatam hone) ki tamanna karna iss kharaab aadat ka naam “Hasad” hai.

Hasad kaha jayaz hai ?

۞ Hadees: Abdullah bin Mas’ud (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah ((Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya
Hasad Sirf 2 baato me jayaz hai.

∗(1). (Ek) tou uss Shakhs ke baare me jisey Allah Ta’ala ne doulat di ho aur wo uss Doulat ko Raah-e-Haq me kharch kare aur (2). (Dusra) uss Shakhs ke baare me jise Allah Ta’ala ne Hiqmat di ho aur wo Uskey jariye faisley karta ho aur logo ko uski taalim deta ho.”

   📕 Sahih Bukhari, Ilm Ka Bayan, 73

Hasido ke Hasad se Panah ke liye Dua:

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Allah ki Panaah Maangta hoon, Haasid ke Sharr se jab wo Hasad kare”. !!Ameen!!

   📕 Quran 113:5

# Allah Rabbul Izzat hume Haasido ke Hasad se Panah ata farmaye,
# Jab tak Hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey,
# Khatma Humara Imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

© Ummat-e-Nabi.com.

Previous Post Next Post