“Jisne Allah ke Alawa kisi ki Qasam khai Usney Kufr kiya ya Shirk kiya.”
📕 Ahmad Hadees (2/34), 📕 Sahih Tirmizi Hadees (2/99)
Daleel 2:
۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaaya:
“Apne Maa-Baap aur Butho ki Qasam Naa khaao aur Naa hi Allah ke Alawa kisi aur ki Qasam Khaao (Agar Qasam Khaney ki Zaroorat pad jaaye) tou sirf Allah ki Sacchhi Qasam khaao.”
📕 Nasai Sharif: 3769
♥ In’sha’Allah-Ul Azeez !
Allah Rabbul Izzat Hume kehne sun’ne se Jyada Amal ki taufiq dey... Ameen