Islamic Quiz 28

Islamic Quiz 28 : Inme se Kis ki Fitrat hai Gaali-Galoch karna?

Inme se Kis ki Fitrat hai Gaali-Galoch karna?

Get Answer

Please Wait
Your Answer is loading

Sahih Jawab hai: option C). Shaitan

Daleel 1:

۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaaya –

“Gaali-Galoch karne waale dono Shaitan hain, woh Ek-Doosre par Ilzaam lagaate aur Jhoot boltey hain.”

📕 Musnad-e-Ahmad: 17483

Ek aur riwayat me aata hai ke:

۞ Hadees:  Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:

“Ek Munafiq ki Alamat hai Gaali dena.”

📕 Sahih Al-Bukhari, Hadees.2459

Afsos ki baat hai Aaj ye khabahat ye burayi Ummat-e-Muslima ko Nasoor ki tarha lag gayi hai, Chote se chote Ikhtelaf me bhi Gaali Galoch ka Rawayya Ikhtiyar karne me Aaj hum pichey nahi hat’tey.

– Bachho se lekar bujurg aksar Is hunar me maharat haasil kar rahe hai, Allah reham karey. Jabki Shairiyat ne roka hume Shaitani fitrat ke is Amal se ,..

Tou beharaahl hum tamam ko chahiye ke Gaali Galoch jaisi Shaitani fitrat se khud bhi bachey aur dusro ko bhi Iski talqeen kare.

– Kitabo Sunnat ke Mutabik apne amal ka Muazna karte rahe ,..

Aur gour karna chahiye ke Gaali Galoch kar ke Hum Hakikat me kis ki Sunnat par Amal kar rahe hai.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!
# Allah Rabbul Izzat Hume tamam Akhlaqi Burayiyon se bachaye,
# Jab tak hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey,
# Khatma Humara Imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!Allah

© Ummat-e-Nabi.com.

Previous Post Next Post