Islamic Quiz 29

Islamic Quiz 29 : Yeh Misaal Allah ne Quran me kin Logon ke Talluk se bayan ki hai?

“Ek Daane ko Saat Baali Nikley aur Unn har Baaliyon me se Sou-Sou daane nikle”
Yeh Misaal Allah ne Quran me kin Logon ke Talluk se bayan ki hai?

Get Answer

Please Wait
Your Answer is loading

Sahih Jawab hai: option B). Allah Ki Raah Me Kharch Karna

Daleel :

Allah Rabul Izzat Quran-e-Majid me farmata hai -

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Unki Misaal jo apne Maal Allah ki Raah me kharch karte hai Uss Dane ki tarah hai Jisko 7 Baali Nikley aur Unn har Baaliyon me se Sou-Sou daane nikle aur Allah Uss se bhi Zyada badhaaye Jiske liye chahe aur Allah wus’at wala Ilm wala hai.”

📕 Surah Baqrah 02:261

Allah ki Raah me Kharch karnewale ke Talluk se is Ayat me Allah Ta’ala ek misaal ke tehat farmata hai

“Ke koi Shakhs ek Dana(Beej) Zameen me boye aur Uss Daane se 7 Baliya nikal aayi aur har baaliyon me 100-100 daane hai."

Matlab Agar isey 7 se Multiple karey tou 700 Gunaa Azr yaa uss se bhi Jyada Uss Beej bone waale (Yaani Allah ki Raah me Kharch karnewale) ko milta hai.” Subhan’Allah...

♥ Allah Rabbul Izzat Hum Sabko kehne sun’ne se jyada Amal ki taufeeq dey. Ameen.

© Ummat-e-Nabi.com.

Previous Post Next Post