In me se kounsa Amal Riyaa yaani Shirk e Asgar hai?
Get AnswerPlease Wait
Your Answer is loading
Sahih Jawab hai: option C). Haaji ka Laqab Lagana
Apne Naam ke aagey Haaji ka laqab lagana Riyaa hai jo ke Shirk e Asgar me shumatr hota hai.
Daleel :
Hajj ek makhsus ibadat hai jise banda apne Rab ki raza ke liye anjam deta hai, lekin agar koi is niyat se hajj kare ke log mujhe Haaji sahab ke naam se pehchane tou ye dikhawa hai yaani Haaji ka Laqab lagana Riya (Showing off) hai aur Riyaa ke baare me RasoolAllah (ﷺ) ne Shirk-e-Asgar kaha hai.
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmate hai:
“Riyaa ka adna Martaba bhi Shirk hai.”
📕 Islami Akhlaq-o-Aadab, H#7
Ek aur riwayat me Aap (ﷺ) ne farmaya:
“(Aye Emaanwalo) Tumhare barey me Jis cheez se main darta hu wah Shirk-e-Asgar hai.”
Sahaba ne pucha: “Ya Rasool’Allah ! yeh Shirk-e-Asgar kya cheez hai?”
Aap(ﷺ) ne farmaya: Riyaa ! Yaani Dikhawe ke liye kaam karna.📕 Ahmed
Tou Maloom hua ke logo ko dikhane aur unse tareef ki ummid me koi aisa amal karna jo khalis Allah ki raza ke liye karna chahiye wo Riya hai aur Riya Shirk-e-Azgar hai.
*Allah Reham Karey ! Aaj Humari Namaze, Humare Roze aur Zakaat se Jyada Humaare Hajj Riyaakari ke Markaz ban chukey hai. Aaj Humare Hajj ke kya haal hai Hum apne baaz Haaji bhaiyon ke Naam ke aagey dekh hi rahe hai.
Jab ki Allah ke Rasool (ﷺ) ne Riyaa se apne Rab ki itni panah mangi ke:
Aap Dua karte they aur ek Dua khaas jab Aap Hajj ko gaye tou Aapne ki aur farmaya “Allahumma Hajjatan La Riya’a Fiha Wa La Sum’a.” Aye Allah humse aisa Hajj le ke iss Hajj ko humare liye Riyaa aur dikhawe se paak kar.
Lihaja Hume bhi chahiye ke Dikhawe ke Amaal se parhez karey aur Apne Amaal ko Khaalis Allah ki raza ke liye anjam de aur Riyaa (Showing Off) ke Fitno se paak rakhne ki koshish kare.
♥ In’sha’Allah Ul Azeez !!!
– Allah Ta’ala Hume Kehene Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De.
– Humari Tamam Ibadato Ko Riyaakari Ke Fitno Se Paak Rakhey ,..
– Jab Tak Hume Zinda Rakhe , Islam aur Imaan par Zinda Rakhey ,..
– Khatma Humara Imaan par ho ,.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
( Ameen ! Allahumma Ameen !!!)