Islamic Quiz 58

Islamic Quiz 58 : Kis Alfaaz ke bhool se Naa kehne ke Sabab Aap (ﷺ) par ek arse tak wahi ka silsila band raha?

Kis Alfaaz ke bhool se Naa kehne ke Sabab Aap (ﷺ) par ek arse tak wahi ka silsila band raha?

Get Answer

Please Wait
Your Answer is loading

Sahih Jawab hai: option B). In’sha’Allah

Bhool se In’sha’Allah Naa kehne ke Sabab Aap (ﷺ) par ek arse tak wahi ka silsila band raha.

Daleel :

Nabi-e-Kareem (ﷺ) ke paas kuch yahudi aaye aur aapse As’habe kahaf ka wakiya daryaft kiya. Aap (ﷺ) ne in’sha’Allah kahe bagair unhe kal aane ko kaha.

Kyunki Allah Rabbul Izzat Aapko bajarye wahi Gaib ka ilm ata Farmata isiliye Aap (ﷺ) ne unn yahudiyo se ek deen ka wakt manga. lekin mehaj in’sha’Allah bhool se na kehne par Aap par ek Arse tak Allah ne Wahi Ka Silsila rok diya. aur fir yeh aayat naazil hui:

❝ Aur Hargiz kisi kaam ke Nisbat na kaha karo ki mai isey kal kar dunga, magar in’sha’Allah kah kar aur agar (in sha Allah kehna) bhool jao tou (jab yaad aaye) apne Parwardeegar ko yaad kar lo (in sha Allah kah lo) aur kaho ki ummid hai ke mera Parwardeegar mujhe aisi baat ki hidayat farmaye jo rehnumayi me uss se bhi jyada kareeb ho.

Al-Quran: Surah kahf 18:24

 

✦ SABAQ:
Tou Beharhaal ! is Aayat me Nashist hai hum sabke liye ke Allah ki madad ke bagair hum kisi kaam ko anjaam nahi dey sakte.

♥ In sha Allah-Ul-Azeez !
– Allah Rabbul Izzat hume kehne sun’ne se jyada Amal ki taufiq dey.
– Hum tamam ko sahi taur par Deeno Shariyat par amal karnewala banaye,
– Jab tak hume zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey,
– Khatma humara Imaan par ho.
*Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen,

© Quiz.Ummat-e-Nabi.com

Previous Post Next Post