Islamic Quiz 61

Islamic Quiz 61 : Wo koun log hai Jo Nabi ﷺ ke Zikr pe Aapke Naam ke sath Durood na bhi padhe tou Muaf hai?

Wo koun log hai Jo Nabi ﷺ ke Zikr pe Aapke Naam ke sath Durood na bhi padhe tou Muaf hai

Get Answer

Please Wait
Your Answer is loading

Sahih Jawab hai: option D). Koi Nahi

Daleel :

۞ Mafhoom-e-Hadees: Ek Roz Aap ﷺ jab Mimber pe chadhe to pahle kadam pe Aameen kaha, fir dusre Qadam pe bhi Aameen kaha aur teesre Qadam pe bhi Aameen kaha.

Tou Sahaba (RaziAllahu Anhuma) ne iski wajah puchi Tou fir Aap (Salallaho Alahi Wasallam) ne irshad farmaya ki:

1. Pahle kadam pe Jibreel (Alaihi Salam) ne kaha ki: “lanat ho us shaks par jisne Ramzaan ka mahina pa kar bhi Allah ki bakshish na pa saka.” Phir Aap (Salallaho Alahi Wasallam) ne Aameen kaha.

2. Fir dusre kadam pe Jibreel (Alaihi Salam) ne kaha ki: “Lanat ho us shaks par jisne Aap (Salallaho Alahi Wasallam) ka naam suna aur Aap par durood o salam na bheja”,.. fir Aap (Salallaho Alahi Wasallam) ne aameen kaha.

3. Aur teesre kadam pe Jibreel (Alaihi Salam) ne kaha ki: “Lanat ho us shaks par jisne Apne Maa-Baap ko budhi umr me paa kar bhi jannat hasil na kar saka.”. Aur fir Aap (Salallaho Alahi Wasallam) ne kaha aameen. (Ibne Habban, 3/188)

Tou Alahmdulillah Hum me se Aksar Hazrat is Hadees se Wakif hai, lekin Afsos ke Amal me kotahi hoti hai,. jabki Allah ke Farishe Lanat Karte hai Aise Shakhs pe jo Aap ﷺ ke Zikr pe Durud nahi padhta.

Lihaja aap tamam se Ilteja hai ke Ayinda se “Bharde Jholi Ya Mohammad, Mohammad ke Shehar Me, Mohammad Na Hote tou kuch bhi na hota”, Nauzubillah is tarah ke zahilana Andaz me apne Nabi ﷺ ka Zikr karne se Ahtiyat kare aur Jab bhi Aap ﷺ ka Zikr ho tou Sath me Ek Shareef Musalaman ki tarah Azmat-e-Rasool ka Khayal rakhte hue Durud Shareef jarur padhey aur Sabse Chota Durud hai “Salallahu Alaihi Wasallam“

Aur Nabi ﷺ ki Azmat Jan’na Hai tou Qawwaliyo aur Naatkhwan se nahi balki Allah ki Kitab Qurane majid aur Nabi ﷺ ki Mukaddas Sirat ka Muta’ala kare, warna in Qawwal ne to Gustakhi ki inteha kar di. chand Rupyo ke Lalach me inke Gaane bankar har Sharabi , ayyash ke muhh me gungunata rehta hai jisme Humare Nabi ﷺ ka ZIkr to hota hai lekin afsos sath me durood nahi hota. jiski misale upar bayaan bhi ki hai.

Tou Khair Allah hum Sabko Kehne sun’ne se jyada Amal ki Taufik de,. Aur Samjh aaye to share kar jyada se jyada hazrat tak pohchane me humari madad kare. JazakAllahu Khairan kaseera.

© Quiz.Ummat-e-Nabi.com

Previous Post Next Post