Youm-e-Arfa (9 Zil-Hijja) ke Roza 2 Saal ke gunaaho ka kaffara hai. 2 saal se muraad pichla ek saal aur aane wala saal milakar hai.
✦ Mafhum-e-Hadees:
Abu Qatada (R.A) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) se Youm-e-Arfa (9 Zil Hajj) ke Rozey ke baarey me poocha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Is din ka Roza guzishta(guzre hue) saal aur aainda(aane wale) saal ke Gunnaho ka kaffara hai.”
۞ Wajahat: Zulhijjah ki 9th tarikh ko Youm-e-Arfa Yaani Arfa ka din kaha jata hai aur is Din ka Roza In sha Allah-Ul-Azeez! Humare liye 2 saal ke Gunaho ka Kaffara banega.
Isme ulemao ka ikhtelaf hai ke aayinda(agle) 2 saal ya agle aur pichle milakar 2 saal. Beharhaal! hume chahiye ke is roze ka ahtmam karke is se fayda hasil kare.
Note: ye Roza jo Haaji is Saal Hajj ko Gaye hai unke liye nahi hai.