Qurbani Eid ki namaz ke baad se lekar 13 Zul-Hijjah ke Maghrib ka sooraj doobne tak yaani 4 din tak ki jaa sakti hain.
Eid ki namaz ke baad se Qurbani ka waqt shuru ho kar 13 Zul-Hijjah ke Maghrib ka sooraj doobne par khatm ho jaata hai. Yaani Qurbani ke 4 din Kitaabullah aur Sunnat e Rasool ﷺ se saabit hain.
Is silsile mein bahut saare dalail hain, Hujjat ke liye ek daleel hi kaafi hai. Nabi ﷺ ka farmaan hai:
Poora Arafat wuqoof (theharne) ki jagah hai aur Uranah se hat kar wuqoof karo (thehro) aur poora Muzdalifah wuqoof (theharne) ki jagah hai aur Waadi e Muhassir se hat kar wuqoof karo (thehro) aur Mina ka har raasta Qurbani ki jagah hai aur Tashreeq ke tamam din zabah karne ke din hain.
📕 Sahih ul Jami: 4537
<p* Ayyaam e Tashreeq kehte hain, 11, 12 aur 13 Zil- Hijjah ko.