Islamic Quiz 123

Islamic Quiz 123 : RasoolAllah (ﷺ) ne Aaurato ke Eidgah Jane ke baare mein Kya farmaya hai?

RasoolAllah (ﷺ) ne Aaurato ke Eidgah Jane ke baare mein Kya farmaya hai?

Get Answer

Please Wait
Your Answer is loading

Sahih Jawab hai: option ( A )

Jane Ka Hukum Diya Hai

Daleel :

Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

۞ Hadees: Auraton Ko Eidgah Jane Aur Hayez Wali Auratein (menstruating women) Ko Eidgah Jakar Dua Me Shamil Hone Ka Hukum

Urdu Translation :

Hazrat-Umme-Atiyya {Radi Allahu ‘Anha} se rivayat hai ke Rasoollallah (ﷺ) ne Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Adha ke din hamein aur pardah nasheen Aaurton ko nikalne ka hukum diya, aur hayezah Auratein ( menstruating women ) namaaz se alhedah rah kar bhalai aur musalmano ki dua me hazir ho, maine arz kiya ya RasoollAllah (ﷺ)! hum me se jiske pass chadar na ho to? Aapne (ﷺ) ne farmaya chahiye ki iski bahan apni chadar isko pahna de,

📕 Sahih-Muslim, Vol-no: 02, Book: 04, Hadees-no: 2056

Hazrat-Umme-Atiyya {Radi Allahu ‘Anha} se rivayat hai ke humein Rasoollallah (ﷺ) ne hukum diya ke kawari, jawaan, aur parde waliyan Eidain ki namaaz ke liye jaye aur hayezah auraton ( menstruating women ) ko hukum diya ke wo musalmano ki Eidgah se zara door rahe.

📕 Sahih-Muslim, Vol-no: 02, Book: 04, Hadees-no: 2054

Hazrat-Umme-Atiyya {Radi Allahu ‘Anha} ne farmaya ke Nabi (ﷺ) je zamane me humein Eid ke din Eidgah me jane ka hukum tha, kawari ladkiya aur hayezah auratein (menstruating women) bhi parda me bahar aati thi, ye sab mardon ke piche pardah me rahtein, jab mard takbir kahte to ye bhi kartein aur jab wo dua karte to ye bhi kartein, is din ki barkat aur pakizgi hansil karne ki umeed rakhtein.

📕 Sahih-Bukhari, Vol-no: 02, Book: 13, Hadees-no: 971

Hazrat-Umme-Atiyya {Radi Allahu ‘Anha} ne farmaya ke humein hukum tha ke hum jawan pardah wali auraton ko Eidgah ke liye bahar nikale, ( aur Hafsa Radi Allahu ‘Anhu ki riwayat me is qadar jiyada hai) ke jawaan aur pardah waliyan zarur (Eidgah jaye) aur hayezah auratein (menstruating women) namaaz ki jagha se alag rahe.

📕 Sahih-Bukhari, Vol-no: 02, Book: 13, Hadees-no: 974

© Quiz.Ummat-e-Nabi.com

Previous Post Next Post