Ek Janwar Purey Gharwalo ki taraf se Qurban kiya ja sakta hai.
Qurbani ka ek janwar chaahe bakra/bakri hi kiun na ho ek gharaane ke poore afraad (logon) ki taraf se kaafi hai. Ek gharaane ka matlab yeh hai ke ghar ke poore afraad Qurbani karne waale ke saath hi rehte hon aur Qurbani dene waala un sab ke kharch ka zimmedaar ho neez woh saare rishtedaar hon. Jis ka chulha alag ho woh alag Qurbani karega.
Ata bin Yasar kehte hain ke main ne Abu Ayyub Ansari Radhiallahu Anhu se poocha:
Rasoolullah (ﷺ) ke zamaane mein Qurbaniyan kaise hoti thien?
Tirmizi: 1505
Unhon ne kaha: Ek aadmi apni aur apne ghar waalon ki taraf se ek bakri Qurbani karta tha, woh log khud khaate the aur doosron ko khilaate the yahan tak ke log (kasrat e Qurbani par) fakhr karne lage, aur ab yeh soorat e haal ho gayi jo dekh rahe ho.
* Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai.