Sahih Jawab hai: option ( B )
۞ Hadees: Abada Bin Samit (R.A) riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) Hume Shab e Qadr ki khabar dene ke liye tashreef la rahe they ki 2 musalman aapas me jhagda karne lage is par Aap (ﷺ) ne farmaya ki:
“Main aaya tha ki tumhe Shab e Qadr bata du lekin fula Fula ne apas mein jhagda kar liya pas Iska Ilm uthaliya gaya aur ummeed yahi hai ki tumhare haq mein yahi behtar hoga pas ab tum uski talash aakhri ashra ki 9 ya 7 ya 5 ki raato mein kiya karo.”